Dosto aaj ki is post mein hum aap ko batane wale hain, sahara india refund ke liye online apply kaise kar sakte hain, agar aap ka paisa sahara india me fasa hai toh is post ko shuru se end tak padhiye
Sahara India Refund Apply Karne Se Pehle Kya Kare
Dosto hum aap ko bata de agar aap sahara india refund ke liye online apply karna chahte hain, toh sabse pehle aap yah check kijiye aap ke aadhar card mein aap ka mobile number link hai ya nahi, agar link hai toh bahut achha aap sahara india refund ke liye online apply kar sakte hain, agar link nahi hai toh pehle link karwaiye uske bad aap sahara india refund ke liye online apply kar sakte hai
Aadhar Card Me Mobile Number Link Hain Ki Nahi Kaise Pata Kare Janne Ke Liye Niche Diye Gye Link Par Click Kare Click Here
Sahara India Refund Ke Liye Apply Kaise Kare
Dosto sabse pehle aap ko google mein search karna hai Mocrefund uske baad aap ko sahara india refund kar official website dikhega aap us website par ja ke sahara india refund ke liye online apply kar sakte hain
Chaliye hum aap ko step by steps batate hain
- Sabse pehle aap ko is link par click karna hai
- Uske baad aap ko Depositor Registration me click karna hain https://mocrefund.crcs.gov.in/
- Uske baad jiske naam se Sahara India mein Paisa Invest Hain Uske Aadhaar Card Ka Last 4 Digit Number Dalna Hain
- Uske baad aadhar card ke sath jo mobile number link hai wo mobile number dalna hai
- Uske baad get OTP Par Click Karna Hain Uske Baad Mobile Par OTP aayega Wo OTP Dalana hain aur Submit Me Click Karna Hai
- Uske Baad T&C ka page aayega toh us me Tick LAGA Ke I agree Mein Click Karna Hai
- Uske Baad Ek New PAGE Open Ho Jayega Waha 12 Digit Ka full Aadhar Number Enter Karna Hain Aur Get OTP Mein Click Karna Hai
- Uske Baad Mobile Par OTP aayega jo number aadhar card ke sath link hai, OTP Dal Ke Submit Mein Click Karna Hain Uske Baad NAME, DOB, Bank Name, Apne Aap Aajayega toh ab Next Ke Bottun Me Click Karna Hai
- Uske Baad Daba Jode Ka PAGE Open Ho Jayega Toh Ab aap ko Society Ka Name Select Karna Hai, Jo Passbook mein likha hai
- Uske baad Jo Last Payment Rashid Mila Hai Uska Details Upload karna Hai Jaise Membership No, Account no, Passbook Number Sab Dalna Hai, Uske baad last rasid ko scan kar ke 200 kb se niche file size rakhna hai phir usko upload karna hai
- Details Dar Kar Rasid Upload Kar Ke Add Claim Mein Click Karna Hai, Uske baad niche me details add ho jayega
- Uske baad Next Ke Button Mein Click Karna Hai
- Uske baad Ek PDF File Open Ho Jayega Toh Generate File mein click Karna Hai Aur Download Form Mein Click Kar Ke Pdf Ko Download Kar Lena Hain Phir USKA Print Out Nikal Lena Hain
- Phir us mein ek photo laga dena hai aur photo par singnature kar dena hai, aur dusre page me signature kar ke mobile number dal dena hai aur place mein apne city ka naam dal dena hai uske baad usko scaner se dono page ko scan kar lena hai
- Phir Google mein search karna hai JPG to Pdf uske baad aap ko smallpdf.com ka website dikhega waha par click karna hai, aur aap ko form abhi scan kiye hai dono ko upload kar ke usko pdf mein convert kar lena hai
- Uske baad baad pdf file ko download kar lena hai diyan rahe pdf ka size 2MB se niche hona chahiye
- Uske baad phir se sahara india refund portal par aakar 5th no option mein pdf file ko upload kar dijiye
- uske baad upload file mein click kijiye aur next ke button mein click kijiye
- aap ka form submit ho jayega uske baad cntrol+p daba ke uska print out nikal lijiye
- aur usko ghar mein rakh lijiye bad mein kam aayega
Dosto aap log samajh gye honge kis tarah se sahara india refund portal par ja kar refund ke liye online apply kar sakte hai uske baad ab aap ka kaam khatam ho gya hai
Video Tutorial In Hindi Sahara India Refund Apply Online
intazar kijiye sarkar paisa kab deta hai, agar aap ko yah jankari achha laga hai toh isko apne dosto ke sath bhi share kijiye thank you